donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sulagti ret pe khilte gulab dekhta hoo.n, *

Sulagti ret pe khilte gulab dekhta hoo.n,

Na jane kyo.n hamesha khwab dekhta hoo.n,

Falak pe mujh ko nazar aata hai mera saya,

Zamii.n pe utra huaa mahtab dekhta hoo.n,

Kabhi kabhi to mujhe kuch nazar nahi aata,

Kabhi nazare be hisab dekhta hoo.n,

Haqiqat aashna aankhe.n kaha.n samajhti hai.n,

Mai.n kyo.n chiragh me.n bhi aaftab dekhta hoo.n,

Hudoode shahar me.n aaya hoo.n chorh kar sehra,

Magar yaha.n bhi chamakta sarab dekhta hoo.n,

Khudaya! tootne lagta hai hausla mera,

Fareb o makr ko jab kaamyab dekhta hoo.n,

Asir hirso hawas hai.n alam uthaye hue,

Tamashe khoob pase inqlab dekhta hoo.n,

Hisab sudo zeya.n se gharz nahi mujh ko,

Ke mai.n hayat ko misle habab dekhta hoo.n,

Naee zamane se mera hai saabqa Aalam,

Magar hamesha purani kitab dekhta hoo.n.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 345