donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jab dharti khoon se gili ho jaati hai *

Jab dharti khoon se gili ho jaati hai,

Koyee na koyee tah pathrili ho jaati hai,

Waqt badan ke zakhm bhar to deta hai lekin,

Dil ke andar kuchh tabdili ho jaati hai ,

Pi leta hoo.n amrit jab mai.n zahar ke badle ,

Kaya rangat aur bhi niili hojati hai,

Poochh rahe hai.n mujh se perho.n ke saudagar ,

Aab –o-hawa kaise zahriali ho jaati hai,

Muddat me ulfat ke phool khila karte hai.n ,

Pal me nafrat chhail chhabili ho jaati hai,

Goondh raha hoo.n lafzo.n ko narmi se lekin,

Jaane kaise baat nokili ho jaaati hai,

Morakh ! uske maya jaal se bach kar rahna,

Jab tab uski rassi dhili ho jaati hai,

Dard ki lahro.n ko sur me to dhalo Aalam ,

Bansi ki har taan surili ho jaati hai.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 332