donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Bah raha tha eik dariya khwab meN, *

Bah raha tha eik dariya khwab me.N,

Rah gaya mai.n phir bhi tishna khwab me.N,

Ji raha ahu.N aur dunya me.N magar,

Dekhta hu.N aur dunya khwab me.N,

Is zamee.N par to nazar aata nahi.N,

Bas gaya hai jo sarapa khwab me.N,

Roz aata hai mera gham ba.Ntne,

Aasma.N se ik sitara khwab me.N,

Muddato.N se mai.N hu.N uska muntazir,

Koi waada kar gaya tha khwab me.N,

Eik bast hai jaha.N khush hai.N sabhi ,

Dekh leta hu.N mai.N kya kya khwab me.N,

Asl dunya me.N tamashe kam hai.N kya,

Dekhta hu.N kyo.N tamasha khwab me.N,

Khol kar aaNkhe.N pashema.N hu.N bahot,

Kho gaya jo kuchh mila tha khwab me.N.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 355