donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Seyah raat ke badan pe dagh ban ke rah gaye, *

Seyah raat ke badan pe dagh ban ke rah gaye,

Ham aaftab they magar chiragh ban ke rah gaye,

Kisi ko ishq me.n bhi ab junoo.n se waasta nahi ,

Yeh kya hooaa ke saare dil , demagh ban ke rah gaye,

Vo shakh shakh niile piile lal rang kya huye,

Tamam dast ke parind zagh ban ke rah gaye,

Jinhe.n yeh zoam tha zamii.n se tishnagi mitaenge ,

Ajab huaa wahi tahi ayagh ban ke rah gaye,

Mile gaa sab ko apna haq , rahenge sab sukoo.n se ,

Magar vo sare wade sabz bagh ban ke rah gaye,

Ujarhte hai.n roz ham basi basayee bastiya.n ,

Khusha voh log jo makine ragh ban ke rah gaye.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 377