donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hatheli ki lakiro.n me.n ishara aur hai koyee, *

Hatheli ki lakiro.n me.n ishara aur hai koyee,

Magar mere ta-aqub me.n sitara aur hai koyee,

Kisi sahil pe jaoo.n aik hi aawaz aati hai ,

Tujhe rukna jaha.n hai voh kinara aur hai koyee,

Na gunbad is imarat ka na phatak is haweli ka ,

Kabootar dhundta hai jo minara aur hai koyee,

Tamazat hai wahi baqi agarche abr bhi barse ,

Hamari rakh me shayad sharara aur hai koyee,

Abhi tak to wahi shiddat hawao.n ke junoo.n me.n hai ,

Abhi tak jhiil me.n shayad shikarah aur hai koyee,

Mai.n bahar ke manazir se alag hoo.n is liye Aalam ,

Mere andar ki duniya me.n nazzarh aur hai koyee.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 369