donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jiski doori wajhe-gham ho jati hai, *

Jiski doori wajhe-gham ho jati hai,

Pas aa kar wo ghair aham ho jati hai,

Mai.n shabnam ka qissa likhta rahta hu.N,

Aur kaghaz par dhoop raqam ho jati hai,

Aan basa hai sehra meri aanko.N me.N,

Dil ki mitti kaise nam ho jaati hai,

jis ne is ko thukrane ki jurrat ki,

Dunya us ke aage kham ho jaati hai,

Oo.Nche sur me.N ham bhi gaya karte the,

rafta rafta lay maddham ho jati hai,

Mai.N jitni raftar baRhata hu.N Aalam,

Manzil utni teiz-qadam ho jati hai.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 388