donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hath pakarh le ab bhi tera ho sakta hoo.n mai.n , *

Hath pakarh le ab bhi tera ho sakta hoo.n mai.n ,

Bhiirh bahut hai is mele me kho sakta hoo.n mai.n,

Peechhe chhoote sathi mujh ko yad aajate hai.n ,

Varna door me sab se aage ho sakta hoo.n mai.n ,

Kab samjhenge jis ki khatir phool bichhaata hoo.n ,

Rah guzar me’n kante bhi to bo sakta hoo.n mai.n ,

Ek chhota sa bachcha mujh me.n abtak zinda hai ,

Chhoti chhoti bat pe ab bhi ro sakta hoo.n mai.n,

Sannate me.n dahshat har pal gunja karti hai,

Is jangal me.n chain se kaise so sakta hoo.n mai.n ,

Sonch samajh kar chattano.n se uljha hoo.n warna,

Bahti ganga me.n hatho.n ko dho sakta hoo.n mai.n .

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 358