Tariki me.n zinda rahna hamko nahi manzoor ,
Jugnoo sa tabinda rahna ham ko nahi manzoor,
Ik pal ko hi chamke lekin bijli sa lahraye’n ,
Rakh tale painda rahna ham ko nahi manzoor,
Naghma chherhe’n saz bajae’n apne dil ka ham ,
Mausam ka sazinda rahna hamko nahi manzoor ,
Ham aazad parinde ,sari duniya apni hai,
Khitte ka bashinda rahna hamko nahi manzoor ,
Dast o gariba’n haal se hai’n ham farad raushan ho ,
Maazi me’n darkhshinda rahna hamko nahi manzoor ,
Dil ke wasile hi se hamne sab kuchh paya hai ,
Aql ! tera karinda rahna hamko nahi manzoor.