donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Paresha.n hoo.n seyahii mei.n kami hoti nahii, *

Paresha.n hoo.n seyahii mei.n kami hoti nahii,

Charaaghaa.n kar raha hoo.n raushnii hotii nahi hai,

Bahut chaaha ke aa.nkhe.n band karke mai.n bhi jee loo’n,

Magar mujhse basar yoo’n zindagii hoti nahii.n hai,

Lahoo ka aik ik qatrah pilata jaa raha hoo.n,

Agarcha khaak mei.n paida namii hoti nahii.n hai,

Dariicho.n ko khula rakhta hoo.n mai.n har waqt lekin,

Hawa mei.n pahle jaisi Taazgii hoti nahii.n hai,

Mai’n rushwat ke masalle par namaaze.n padh naa paaya,

Badi ke saath mujhse bandagii hoti nahi.n hai,

Bura hai dushmani seaashnaa hona bhii Aalam,

Kisi se ab hamarii dostii hoti nahi.n hai.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 332