donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Aalam Khurshid
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* YEH SONCHA NAHI HAI KIDHAR JAAYE.NGE, *

PRESENTATION TO DR. ABRAR AHMAD


YEH SONCHA NAHI HAI KIDHAR JAAYE.NGE,

MAGAR HUM YAHAA.N SE GUZAR JAAYE.NGE,

HAME.N YEH FIZA RAAS AATI NAHI,

YAHAA.N HAM RAHENGE TO MAR JAAYE.NGE,

YEH DIL HAM SAFAR HAI, YEH DIL RAHNUMA,

JIDHAR DIL KAHEGA UDHAR JAAYE.NGE,

JO ROKEGI RASTA KABHI MANZILE.N,

GHARHI DO GHARHI KO THAHAR JAAYE.NGE,

DARAATA BAHUT HAI SAMUNDER HAME.N,

SAMUNDER MEI.N IK DIN UTAR JAAYE.NGE,

PAHAARHO.N NE MURJHA DIYA HAI HAME.N,

TO KYA HAM KHEZAA.N MEI.N SANWAR JAAYE.NGE,

ISI KHAUF SE NEEND AATI NAHI,

KE HAM KHWAAB DEKHENGE, DAR JAAYENGE,

ISI KHUSH GUMAANI NE TANHA KIYA,

JIDHAR JAAYU.NGA, HAM SAFAR JAAYE.NGE,

ABAS YEH GUMAA.N THAA HAME.N DEKH KAR,

SABHI RAASTE MEI.N THAHAR JAAYE.NGE,

YEH SONCHA THA KAB SHAHRE DASHT MEI.N,

MERE SAATH DEEWAAR O DAR JAAYE.NGE,

KAHAA.N DER TAK RAAT THAHRI KOI,

KISI TARAH DIN BHI GUZAR JAAYE.NGE,

TAGHAIYER HAI LAAZIM TO AALAM KABHI,

ZAMII'N PER SITAARE BIKHAR JAAYENGE.

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 353