Kuchh kahuu.n kahnaa jo meraa kiijiye Chaahne vaale ko chaahaa kiijiye Hausla teG-e-jafaa kaa rah na jaa.e Aa.iye KHuun-e-tamannaa kiijiye Fitna-e-roz-e-qayaamat hai vo chaal Aaj vo aate hai.n dekhaa kiijiye Kis ko dekhaa un kii suurat dekh kar Jii me.n aataa hai ki sajda kiijiye Fitne sab barpaa kiye hai.n husn ne Merii ulfat ko na rusvaa kiijiye Huur-e-jannat un se kuchh ba.Dh kar sahii Ek dil kyaa kyaa tamannaa kiijiye Kar diyaa hairat ne mujh ko aa.ina Be-takalluf mu.nh dikhaayaa kiijiye Josh me.n aa jaa.e rahmat kii tarah Ek ik qatre ko dariyaa kiijiye Naam agar darkaar hai misl-e-nagii.n Ek ghar me.n jam ke baiThaa kiijiye Mil chuke ab milne vaale KHaak ke Qabr par jaa jaa ke royaa kiijiye Kaun thaa kal baa.is-e-be-pardagii Aap mujh se aaj parda kiijiye Kal kii baato.n me.n to kuchh narmii sii hai Aaj phir qaasid ravaanaa kiijiye Raah takte takte aasii chal basaa Kyu.n kisii se aap vaadaa kiijiye
*****************