Zakhm-e-dil ham dikhaa nahii.n sakte Dil kisii kaa dukhaa nahii.n sakte Vo yahaa.n tak jo aa nahii.n sakte Kyaa mujhe bhii bulaa nahii.n sakte Vaada bhii hai to hai qayaamat kaa Jis ko ham aazmaa nahii.n sakte Aap bhii bahr-e-ashk hai.n goyaa Aag dil kii bujhaa nahii.n sakte Un se ummiid-e-vasl ai tauba Vo to suurat dikhaa nahii.n sakte Un ko ghuu.nghat uThaane me.n kyaa uzr Hosh me.n ham jo aa nahii.n sakte Maa.ngte maut kii du.aa lekin Haath dil se uThaa nahii.n sakte Un ko daavaa-e-yuusufii Aasii Khwaab me.n bhii jo aa nahii.n sakte
***************