donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Adeem Hashmi
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Taluq Torta Hu.n To Mukammal Torr Deta Hu.n *

Taluq Torta Hu.n To Mukammal Torr Deta Hu.n
Jise Mei.n Chor Deta Hu.n Mukammal Chorr Deta Hu.n

Taluq = Relationship; Torr = break

Mohabbat Ho Keh Nafrat Ho, Bhara Rehta Hu.n Shiddat Se
Jidhar Se Aaye Ye Darya Udhar Hi Morr Deta Hu.n

Bhara = full; Shiddat = Intensity

Yaqee.n Rakhta Nahi Hu.n Mei.n Kisi Kache Taluq Par
Jo Dhaga Tootne Wala Ho Us Ko Torr Deta Hu.n

Kache = Raw/Crude; Dhaga = Thread (Refers to Relation)

Mere Dekhe Hue Sapne Kahi.n Lehrai.n Na Le Jaye.n
Ghronde Rait Ke Taameer Kar Ke Chorr Deta Hu.n

Sapne = Dreams; Lehrain = waves;

Adeem Ab Tak Wohi Bachpan Wohi Tehzeeb Kari Hai

Qafas Ko Torr Deta Hu.n, Parinde Chorr Deta Hu.n…

Qafas = Cage;

****

 
Comments


Login

You are Visitor Number : 458