Ghazal:
Aaina e dill par too museebat meN nazar karr
Allah ka le naam Muhammad ko khabar karr
Kuchh baat samajh meN nahi aati hai yehaN ki
Suljhi hai ulajh kar kabhi bigRi hai saNvar karr
Naa khaof chubhan kaa hai naa darr ahle chaman se
Aa ya hai gulistaN meN jo kaaNtoN se guzar karr
tufaaN meN koi shaakh shajar kaa nahi bachtaa
abb aashiyaaN apnaa tu idhar kar yaa udhar karr
jis jaa zara mill jaay sukooN dard e jigar ko
ay taayer e maayoos usee jaaa tu basar karr
Allh ne chahaa tao badal jaayegi taqdeer
Maayus na ho itnaa abhi aur sabar kaar
Ghabraa na kabhi gardishe ayyam se Akbar
Manzil ko pahuNchna hai abhee aur safar karr
******************************