* Aaena bhi apna na mahram raha *
Naa Shanasi ka hamesha gham raha
Aaena bhi apna na mahram raha
aag hai isper hai yeh be shalgi
apne jalne ka ajab aalam raha
main bhii seele aarzoo mei'n bah gaya
woh bhii gharqe giryae shabnam raha
ham gire bhi to ana ke ghaar mei'n
tootne per bhi wahi dam kham raha
chandni sadko pe aawara phiri
band ghar mei'n zulmato'n ka gham raha
ab hai 'Hali' be neyazi ka khala
ab kaha'n ehsas besho kam raha
|