* Na Shanasi ka hamesha gham raha *
Na Shanasi ka hamesha gham raha
Aayina bhi apna na mahram raha
Aag hai us par hai yeh be sholagi
Apne jalne ka ajab aalam raha
Saare uo’nche ghar hawa ki zad me’n thhe
Mera malba thaa jo mustahkam raha
Mai’n bhi saile aarzoo me’n bahh gaya
Wob bhi ghareq-e- girya-e-shabnam raha
Ham gire bhi to anaa ke ghar mei’n
Tootne par bhi wahi dam kham raha
Chandni sarhko’n pe aawaarah phiri
Bund ghar me’n zulmato’n ka gham raha
Ab hai hali be neyazi ka khala
Ab kaha’n ehsas besho kam raha
|