donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Alimullah Hali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Bach bachake jism se bhaga koyee *
Bach bachake jism se bhaga koyee
 Girti deewaro’n ki zad me’n thaa koyee

Is qadar daste rasayee se gurez
Ham na saahil hai’n na tum dariya koyee

Laut ke aate dashte tanhayee se ham
Shahar mei’n aawaz to deta koyee

Saare din sigrate ke margholo’n mei’n bund
Raat bhar khabo’n ka qaidi thaa koyee

Mere dariya tu shanawar ko na bhool 
Dekh too tah me’n koyee duba koyee

Woh bhi hai lafzo’n ke mahbas me’n aseer
Un lakeero’n si nikal aata koyee
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 481