donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Alimullah Hali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dasht Khamosh me’n gumnam huyee jaati hai *
Dasht Khamosh me’n gumnam huyee jaati hai
Har sada nutq pe ilzam huyee jaati hai

Tu jo sahil hia to aaghosh me’n rakh le apni
Lahar kiyo’n rah me’n nakam huyee jaati hai

Har ada ishq ki ab ahle hawas jaan gaye
Ab to har rah rahe aam huyee jaati hai

Us jafa pesha se har haal me’n nibh jayegi
Zindagi khugar-e-aalaam huyee jaati hai

Kin sabeelo’n se kaha’n peyas bujhayee thee aleem
Har qadam par hawas jam huyee jaati hai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 367