* Guzra har aik shakhs mujhe dekhta huaa *
Guzra har aik shakhs mujhe dekhta huaa
Goya mai’n aadmi na huaa aayeena hua
Who dhund thaa dhooa’n thaa ke zulmat ke raushni
Ab yaad bhi nahi’n hai kah’n tu juda huaa
Jab koyee sher ho to usi ka kheyal ho
Jab rah gum huyee to wahi rahnoma hua
Nikli hee thee ke shakhe talab khushk ho gayee
Har bar hamne haath sameta barha huaa
Ab apni rasmo rah naye mosamo’n se rakh
Who sayadar pedh kheza’n aashna hua
Un par nayee ruto’n ke nisha’n ban chuke hai’n aaj
Jin pattharo’n pe naam tha apna likha huaa
Ham khul ke roliye to kuchh aisa laga “Aleem”
Barso’n ka koyee qarz tha jo ab ada huaa
|