* Mia’n chup raha ke wahi ab mujhe sada deta *
Mia’n chup raha ke wahi ab mujhe sada deta
Meri nawaye shikasta ka khu’n baha deta
Har ek taaq pe raushan hai mashale aawaz
Woh jaraha thaa to yeh raushni bujha deta
Khula to phir kafe ahsaas me’n na thaa kuchh bhi
Woh shahre yaar bhi aakar qareeb keya deta
Woh door to nahi’n lekin qareeb bhi to nahi’n thaa
Sada lagake hi ehasas fasla deta
|