* Hujoome yar tera aur mera thikana tu *
Hujoome yar tera aur mera thikana tu
Ab aur chhor bhi de mujh ko aazmana tu
Mere liye hai meri na murahdiyo’n ka uzr
Kahi’n si dhund bhi le ab koyee bahana tu
Use bhi apne fasane ki yaad aajaye
Kahani apni kuchh is taur se sunana tu
Teri shikast ne pahu’ncha diya kaha’n tum ko
Hozoor husn bhi bhola hai sar jhukana tu
Mai’n apne aap me’n tujh ko sameta kiyonkar
Mai’n aik lamha mahdud ek zamana tu
Koyee na de pase deewar jab sada haali
Qareeb manzil jaana’n hi baith jana tu
|