donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Alimullah Hali
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Apni talash mei’n hoo’n rawa’n kubaku honooz *
Apni talash mei’n hoo’n rawa’n kubaku honooz
Kis aahuye rameeda ki hai justaju honooz

Be chehragi ka koyee madawa na hosaka
Mai’n aayene  ke samne hoo’n rubaroo honooz

Har shamma bad guman hai har raushni khafa
Tareekiyo’n ka raj hai har char su honooz

Khamoshiya’n hai’n apni mulaqat ka maal
Jaari hai yoo’n to silsela guftagu honooz

Khawabo’n ke malgaje me’n sare shame intazaar
Mahwe khawab chhat pe hai ek khoobru honooz

Shahro’n me’n ja ke saare chaman zadah chhup gaye
Raqsa’n hai bastiyo’n me magar rang –o-bu honooz

Parchhiyo’n ki qaid me’n hai aaj tak wojood
“Hali” khud apne aap me’n hayal hai tu honooz
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 490