* Khafa aayine se aayine kab tak *
Khafa aayine se aayine kab tak
Rahei’n khud aap se begane kab tak
Kisi surat khoda aabad kar de
Rahei’n weeran yeh but khane kab tak
Koyee samjhe bhi shauq jaa’n supari
Marei’n har shamma par parwane kab tak
Kahie’n to jalwah gaah naaz thahre
Bhatakte hi rahe’n deewane kab tak
Saba, khushboo. Sitare, noor lahre’n
Chhupoge chilmano’n me’n jaane kab tak
Kaha’n tak maatam khawab shikasta
Bhala dohraoge afsaane kab tak
|