donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Anand Narain Mullah
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Sar-e-mahashar yahi puchhu.Nga Khuda se pahle *
Sar-e-mahashar yahi puchhu.Nga Khuda se pahle, 
tune roka bhi tha mujrim ko Khata se pahle,
Ashk ankho'n mai'n hai'n honTho'n pe buka se pahle, 
qafila Ghum ka chala bang-e-dara se pahle,
ur gaya jaise yakayak mere shano per se, 
wo jo ik bojh tha taslim-e-Khata se pahle,
haN yaha dil jo kisi ka hai ab aina-e-husn ,
warq-e-sada tha ulfat ki ziya se pahle,
ibtida hi se na de zist mujhe dars us ka ,
aur bhi bab to hain bab-e-raza se pahle.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 291