donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Dilawar Figar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Aik daawaat-o-qalam ho tou ghazal hoti hai *
Aik daawaat-o-qalam ho tou ghazal hoti hai
jab ye saamaan baham ho tou ghazal hoti hai

bhoot, aaseb, shayaateen, ajinna hazraat
in buzurgon kaa karam ho tou ghazal hoti hai

sher naazil nahin hotaa kabhii laalach ke baghair
dil ko ummiid-e-raqam ho tou ghazal hoti hai

puunch kutte ki terhi ho, tau kuch bhi na bane
aur teri zulfon mein kham tou ghazal hoti hai

muflisii, ishq, marz, bhuukh, burhaapa, aulaad !
dil ko har qism kaa Gham ho tou ghazal hoti hai


sirf tharre se tau qitaat hi mumkin hain "Figar"
haan, agar whiskey-o-rum ho tou ghazal hoti hai



Dilawar Figar
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 409