donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Dipti Mishra
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* wo nahii.n mera magar usse mohabbat hai to hai *
GHAZAL

wo nahii.n mera magar usse mohabbat hai to hai
ye agar rasmo.n,riwajo.n se baghabat hai to hai

sach ko maine sach kaha, jab kah diya to kah diya
ab zamaane ki nazar mei.n ye himaaqat hai to hai

kab kaha maine ke wo mil jaaye mujhko ,mai.n usey
ghair na ho jaaye wo bas itni hasrat hai to hai

jal gaya parwana to sham'a ki ismei.n kya khata
raat bhar jalna jalana uski qismat hai to hai

dost ban kar dushmano.n sa wo satata hai mujhe
phir bhi us zalim pe marna apni phitrat hai to hai

duur the aur duur hai.n har dam zamiin-o-aasmaa.N
duuriyo.n ke baad bhi dono.n mei.n qurbat hai to hai

(DEEPTI MISHRA)
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 1964