donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Dushyant Kumar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye saaraa jism jhuk kar bojh se duhraa huaa hogaa, *
Ye saaraa jism jhuk kar bojh se duhraa huaa hogaa,
mai.n sajde me.n nahii.n thaa aap ko dhokaa huaa hogaa,

[ sajdaa = prostrated in prayer]

yahaa.N tak aate aate suukh jaatii hai.n sabhii nadiyaa.N,
mujhe maaluum hai paanii kahaa.N Thahraa huaa hogaa

Ghazab ye hai ki apnii maut kii aahaT nahii.n sunte,
vo sab ke sab pareshaa.N hai.n vahaa.N par kyaa huaa hogaa,

 
tumhaare shahar me.n ye shor sun-sun kar to lagtaa hai,
ki insaano.n ke jangal me.n ko_ii hanaakaa huaa hogaa,

ka_ii faaqe bitaakar mar gayaa jo us ke baare me.n,
vo sab kahte hai.n ab aisaa nahii.n aisaa huaa hogaa,

 
yahaa.N par sirf guu.nge aur bahre log baste hai.n,
Khudaa jaane yahaa.N par kis tarah jalsaa huaa hogaa,

[jalsaa =festive gathering]

chalo ab yaad_gaaro.n kii andherii koTharii khole.n,
kam_az_kam ek vo chehraa to pahchaanaa huaa hogaa,

[kam_az_kam = if nothing else]
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 370