donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Dushyant Kumar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Chaa.Ndanii chhat pe chal rahii hogii, *
Chaa.Ndanii chhat pe chal rahii hogii,
ab akelii Tahal rahii hogii,

phir meraa zikr aa gayaa hogaa,
vo barf-sii pighal rahii hogii,

kal kaa sapnaa bahut suhaanaa thaa,
ye udaasii na kal rahii hogii,

sochataa huu.N ki band kamare me.n,
ek shama-sii jal rahii hogii,

tere gahano.n sii khan_khanaatii thii,
baajare kii fasal rahii hogii,

jin havaao.n ne tujh ko dularaayaa,
un me.n merii Ghazal rahii hogii.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 357