donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Firaq Gorakhpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dekhte dekhte utar bhi gaye, *
Dekhte dekhte utar bhi gaye,
un ke teer apna kaam kar bhi gaye,
husn per bhi kuch aa gaye ilzaam,
go bahut ahl-e-dil ke sar bhi gaye,
yun bhi kuch ishq nek naam na tha,
loag badnaam usko kar bhi gaye,
kuch pareeshaan se the bhi ahl-e-junoon,
gesoo-e-yaar kuch bikhar bhi gaye,
aaj unhein meherbaan sa paakar,
khush hue aur jee mein dar bhi gaye,
ishq mein roth kar do aalam se,
laakh aalam mile jidhar bhi gaye,
huun abhi gosh pur sadaa aur wo,
zer-e-lab keh ke kuch mukar bhi gaye
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 363