donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Firaq Gorakhpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ye maanaa zindagii hai chaar din kii *
Ye maanaa zindagii hai chaar din kii
bahut hote hai’n yaaro chaar din bhii

Khudaa ko paa gayaa vaaiz magar hai
zaruurat aadamii ko aadamii kii

milaa huu’n muskuraa ke us se har baar
magar aankho’n me’n bhii thii kuchh namii sii thii

muhabbat me’’n kahen kyaa haal dil kaa
Khushii hii kaam aatii hai na Gham hii

bharii mahafil me’n har ek se bachaakar
terii aankho’n ne mujh se baat kar lii

ladakapan kii adaa hai jaan-levaa
Ghazab kii chhokarii hai haath-bhar kii

raqiib-e-Ghamazadaa ab sabr kar le
kabhii us se merii bhii dostii thii
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 329