donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hari Chand Akhtar
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Shabaab aayaa kisii but par fidaa hone kaa vaqt aayaa *
Shabaab aayaa kisii but par fidaa hone kaa vaqt aayaa ,
merii duniyaa me.n ba.nde ke Khudaa hone kaa vaqt aayaa,
u.nhe.n dekhaa to zaahid ne kahaa iimaan kii ye hai ,
ki ab i.nsaan ko sajdaa-ravaa hone kaa vaqt aayaa,
takallum kii Khaamoshii kah rahii hai harf-e-matalab se ,
ki ashk-aamez nazaro.n se adaa hone kaa vaqt aayaa,
[takallum=conversation; ashk-aamez=full of tears]
Khudaa jaane ye hai auj-e-yaqii.n yaa pastii-e-himmat ,
Khudaa se kah rahaa huu.N naaKhudaa hone kaa vaqt aayaa,
[auj=height/zenith; pastii=lowest point/nadir; naaKhudaa=oarsman]
hame.n bhii aa pa.Daa hai dosto.n se kaam kuchh yaanii ,
hamaare dosto.n ke bevafaa hone kaa vaqt aayaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 380