donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Hasan Nayeem
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Meri misrah pe jo Qatra dekhayee deta hai *
Meri misrah pe jo Qatra dekhayee deta hai
teri palak se sitara dekhayee deta hai

agar udaad ho oonchi tor barre aazam bhi
hara bhara sa jazeera dekhayee deta hai

jo doobna ho muqaddar to aain saahil per
bhanwar ki aur kinaara dekhayee deta hai

bujhi yeh aag na dariya na abre baaran se
azl se bahr pyasa dekhayee deta hai

ise serab bhi hairan na kar saka jisko
dile gulab me sahra dkhayee deta hai

ye shakhs jis ko lateefe hai Saikdo azbar
hanse to aur fasruda dekhayee deta hai

mai uski taan se yoo’n jazb ka serapa hoo’n
woh har khayal ka naghma dekhayee deta hai

woh mere sher ki manind kaj kalah sahi
nazar milao to apna dekhayee deta hai

mai apni rooh me usko basa chuka itna
ab uska husn bhi parda dekhayee deta hai

isi pe khatm hai yaaro’n ki mahfilen bhi “nayeem”
jo dekhne mei’n akela dekhayee deta hai
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 400