donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ibn e Insha
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dekh hamari deed ke karan kaisa Qaabil E deed hua *
Dekh hamari deed ke karan kaisa Qaabil E deed hua

Ek sitaara baiThe baiThe taabish meN khursheed hua

Aaj to jaani, rastaa takte, shaam ka chaNd padeed hua

Tu ne to inkaar kiya tha, dil kab naa-ummeed hua??

Aan ke is beemaar ko dekhe!! tujh ko bhi taufeeQ hui?

Lab pe us ke naam tha tera, jab bhi dard shadeed hua

HaaN us ne jhalak dikhlayi, ek hi pal ko dreeche meN

Jaano  ek bijli lahraayi,  aalam ek shaheed hua

Tu ne hum se kalaam bhi chhoRa, arz E wafaa k sunte hi

Pahle kaun Qareeb tha hum se, ab to aur ba’eed hua

Duniya ke sab karaj chhoRe, naam pe tere ‘Insha’ ne

Aur use kya thoRe Gham the? tera ishq mazeed hua
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 330