donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ibn e Insha
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Jab dahr ke gham se amaaN na milii, hum logoN ne ishQ eejaad kiya *
Jab dahr ke gham se  amaaN na milii,  hum logoN ne ishQ eejaad kiya

Kabhi shahr E butaaN me kharaab phire kabhi dasht E junuN aabaad kiya

Kabhi bastiyaaN ban, kabhi koh O daman, raha kitne dinoN yahi ji ka chalan

JahaaN husn mila wahaaN baith rahe, jahaaN pyar mila wahaN saad kiya

Shab E maah me jab bhi yeh dard uTha, kabhi bait kahe (likhi ‘Chand Nagar’)

Kabhi koh se jaa sar phoR mare,  kabhi kabhi Qais ko jaa ustaad kiya

Yahi ishQ  bil-aakhir rog banaa, K hai chaah k saath bijog banaa

Jise ban_na tha aish woh sog banaa, baRa man ke nagar me fasaad kiya

Ab qurbat O sohbat E yaar kahaaN, lab O aariz O zulf O kinaar kahaN

Ab apna bhi  ‘Meer’  sa aalam hai,  Tuk dekh liya,  ji shaad kiya
*Chand Nagar – Insha Ji ka majmaua E kalam
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 335