donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ibn e Insha
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Apne hamraah jo aate ho idhar se pahle *
Apne  hamraah jo aate ho  idhar se pahle
Dasht paRta hai miyaN ishq meiN ghar se pahle
Chal diye uThke su-e-shahar-e-wafa, ku-e-habib
Puchh lena tha kisi khaak basar se pahle
Ishq pahle bhi kiya hijr ka Gham bhi dekha
Itne taRrpe hain na ghabraye na tarse pahle
Ji bahalta hi nahin ab koi saa’at, koi pal
Rat Dhalti hi nahin chaar pahar se pahle
Ham kisi dar pe na thithke na kahiN dastak di
Saikaron dar the meri jaN tere dar se pahle
Chand se aankh mili, ji ka ujala jaga
Ham ko sou bar hui subh, sahar se pahle
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 337