donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Ibn e Insha
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Insha ji ! uThTho ! ab kuuch karo, is sha’hr meN jii kaa lagaanaa kyaa, *
Insha ji ! uThTho ! ab kuuch karo, is sha’hr meN jii kaa lagaanaa kyaa,
vahshii ko sukuuN se kyaa matlab, jogii kaa nagar meN Thikaanaa kyaa,
is dil ke dariidaa-daaman ko dekho to sahii, socho to sahii,
jis jholii meN sau chhed hue us jholii ko phailaanaa kyaa,
shab biitii, chaaNd bhii Duub gayaa, zanjiir paRii darvaaze meN,
kyuN der gaye ghar aaye ho, sajnii se karoge bahaanaa kyaa,
us husn ke sachche motii ko ham dekh sakeN, par chhuu na sakeN,
jise dekh sakeN par chhuu na sakeN vo daulat kyaa vo Khazaanaa kyaa,
us ko bhii jalaa dukhte hue man, ik sholaa laal bhabhuukaa ban,
yuN aaNsuu ban beh jaanaa kyaa, yuN maaTii meN mil jaanaa kyaa,
jab sha’hr ke log na rasta dekheN, kyuN ban meN na jaa vishraam kare,
diivaanoN kii sii na baat kare, to aur kare diivaanaa kyaa.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 335