* Muqadder hai be der-o-deewar rahna *
Muqadder hai be der-o-deewar rahna
Kahein tyy paraha hai shaher ka mismar rahna
Namood khuab ke aur inhedam khuab ke beech
Qayamat merhalah hai dil ka nahamwar rahna
Dilon ke dermiayn doori ke din hain aur hum ko
Isi mausam mein tanha ber sare paikar rahana
Andheri rat aur shorisgan-e-koy dashnam
Aur aise mein kisi ek aankh kabaidar rahna
Tmasha kerne walw aa rahein hain joq dar joq
Garohe pabajola raqs ko tyyar rahna
Hwai koyy qatil be adab hone lagi hai
Chiragh-e-jadai sidq-o-safa hushyar rahana
Yeh dushwari to aasani kakhamiyazah hai werna
Bahut hi sahel tha hum ko bahut dushwar rahna
Idher kuch din se as basti ko ras aane laga hai
Hum Ashaftah dilon ko darpai aazar rahna |