|
* Thakan to agle safar ke liye bahaanaa thaa *
Thakan to agle safar ke liye bahaanaa thaa,
use to yuu.N bhii kisii aur simt jaanaa thaa,
vahii chiraaGh bujhaa jis kii lau qayaamat thii,
usii pe zarb pa.Dii jo shajar puraanaa thaa,
mataa-e-jaa.N kaa badal ek pal kii sar_shaarii,
suluuk Khvaab kaa aa.Nkho.n se taaziraanaa thaa,
vahii firaaq kii baate.n vahii hikaayat-e-vasl,
na_ii kitaab kaa ek ek varaq puraanaa thaa ,
qabaa-e-zard nigaar-e-Khizaa.N pe sajatii thii,
tabhii to chaal kaa andaaz Khusrovaanaa thaa. |
|