donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Iftikhar Arif
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Teri shoreedaa mizaaji ke sabab tere nahi *
Teri shoreedaa mizaaji ke sabab tere nahi
Ae mere shahr!  tere log bhi ab tere nahi
Mainne ek aur bhi mahfil men inhen dekha hai
Yeh jo tere nazar aate hain ye sab tere nahi
Yeh ba-har-lamhaa nayi dhun pe thirakte hue log
Kaun jaane K yeh kab tere hain kab tere nahi
Tera ehsaan K jaane gaye, pahchaane gaye
Ab kisi aur ke kya hoNge yeh jab tere nahi
Dar-ba-dar hoke bhi jo teri taraf dekhte the
Woh tere khaanumaaN barbaad bhi ab tere nahi
Ab gila kya K hawaa hogaye sab halqa-bagosh
MaiN na kahta tha K yeh ahl e talab tere nahi
Ho na ho dil pe koi bojh hai bhaai warnaa
Baat kahne ke yeh andaaz yeh Dhab tere nahi
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 599