donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Iftikhar Arif
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Zara si der ko aaye the khaab aaNkhoN mein *
Zara si der ko aaye the khaab aaNkhoN mein
Phir us ke bad musalsal azaab aaNkhoN mein
Wo jis ke nam ki nisbat se raushani tha wujood
KhaTak raha hai wohi aaftaab aaNkhoN mein
Jinhen mata-E-dil-O-jaN samajh rahe the ham
Wo aa’iine bhi hue behijaab aaNkhoN mein
Ajab tarah ka  hai mausam  K khak uRti hai
Wo din bhi the k khile the gulaab aaNkhoN mein
Mere Ghazaal teri wahshaton ki khair, K hai
Bahut dinoN se bahut iztaraab aaNkhoN mein
Na jane kaisi qayaamat ka peshkhema hai
Ye uljhaneN teri be-intasaab aaNkhoN mein
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 390