donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Iftikhar Arif
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kisi ke jaur O sitam yaad bhi nahi karta *
Kisi ke jaur O sitam yaad bhi nahi karta 
Ajeeb shahr hai fariyaad bhi nahi karta
Koi to hai jo parindoN ko baal O par dekar
ZamiN Ki qaid se aazad bhi nahi karta
Na jane kaisi qayamat  guzar gayi ab ke
Gharib shikwa E bedaad bhi nahi  karta
Kabhi kabhi ye giraN-gosh Cheekh paRta tha 
Ye kaam ab mera hum-zaad bhi nahi karta
Wahi salib O salasil, sukoot,  sang zani
Naye sitam koi eejaad bhi nahi karta
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 434