donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Iftikhar Arif
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Kuchh bhi nahiN, koi nahiN, khaab k ekhtiyaar meN *
Kuchh bhi nahiN, koi nahiN, khaab k ekhtiyaar meN
Raat guzaar dee gayii !!! subh k intezaar meN
Baab e ataa k saamne, ahl e kamaal ka hujoom
Jin ko tha sarkashi pe naaz, woh bhi usi qataar meN
Aayega aayegaa wo din, ho k rahega har hisaab
Waqt bhi intezaar meN, khalq bhi intezaar meN
Jaise fasaad e khuun se jil e badan pe daagh e bars
Dil ki siyaahiyaaN bhi haiN, daaman e daghdaar meN
Waqt ki thokaroN me hai, uqdaa kushaiyoN ko zo’m
Kaisei ulajh rahi hai dor, naakhun e hoshiyaar meN
Jaisi lagi thi dil me aag, waisie ghazal bani nahiN
Lafz Tthahar nahiN sake,  Dard ki tez dhaar meN
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 381