donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Iftikhar Arif
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Basti bhi samander bhi beyaban bhi mera hai *
Basti bhi samander bhi beyaban bhi mera hai
AakheN bhi meri khab E pareshan bhi mera hai
Jo dubti jati hai wo kashti bhi hai meri
Jo tutta jata hai wo peyman bhi mera hai
Jo hath uthe the wo sabhi hath the  mere 
Jo chak huaa wo gereban bhi mera hai
Jis ki  koyee aawaz na pahchan na manzil 
Wo qafla be saro saman bhi mera hai
Wiranye maqtal pe hejab aaya to is bar
Khud chikh para mai ke ye unwan bhi mera hai
Daraf tagee E subah basharat ko khaber kya
Andesha e sad sham E ghariban bhi mera hai
Mai waris E gul hoon ke nahi hoon mager hai jan 
Khamyaza tauhin baharan bhi mera hai
Mitti ki gawahi se bari dil ki gawahi 
YouN ho to ye zangeer ye zandaN bhi mera hai
***
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 407