* Thakan to agale safar ke liye bahaanaa thaa *
Thakan to agale safar ke liye bahaanaa thaa
use to yuu’n bhii kisii aur simt jaanaa thaa
Vahii chiraagh bujhaa jis kii lau qayaamat thii
usii pe zarb padii jo shajar puraanaa thaa
Mataa-e-jaan kaa badal ek pal kii sarshaarii
Suluuk Khvaab kaa aankho’n se taaziraanaa thaa
Vahii firaaq kii baate’n vahii hikaayat-e-vasl
Naii kitaab kaa ek ek varaq puraanaa thaa
Qabaa-e-zard nigaar-e-Khizaan pe sajatii thii
Tabhii to chaal kaa andaaz Khusrovaanaa thaa
|