donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Iftikhar Arif
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Ham jahaaN haiN vahaaN in dinoN ishq kaa silsilaa muKhtalif hai, *
Ham jahaaN haiN vahaaN in dinoN ishq kaa silsilaa muKhtalif hai,
kaarobaar-e-junuuN aam to hai magar ek zaraa muKhtalif hai,
aaj kii raat nanhii sii lau bhii agar bach rahe to Ghaniimat hai,
ai chiraaGh-e-sar-e-kuucha-e-baad! ab ke havaa muKhtalif hai,
Khemaa-e-aafiyat ke tanaaboN se jakRii hu’ii Khalqat-e-shah’r,
jaannaa chaahtii hai ke manzil se kyuuN raastaa muKhtalif hai,
ab ke maiN ne kitaab-e-masaavaat aik ek varq paRh ke dekhii,
matan meN jaane kyaa kuch likhaa hai magar haashiyaa muKhtalif hai.
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 389