donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jaleel Manikpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Is ada se woh fitna gar nikla *
Is ada se woh fitna gar nikla
Dil gaya haath se jigar nikla

Dil ko naalay ka ek sahara tha
Woh bhi kismat se be asar nikla

Hosh aane ka tha jo khauf mujhe
Maikade se na umr bhar nikla

Charagar ki talash thi bekaar
Dard e dil apna charagar nikla

Teer e qatil ki pyaas kya bujhti
Khoon dil mein na boond bhar nikla

Hum Samajhte the jis ko kil apna
Kisi parda nasheen ka ghar nikla

Khaar jitne chube teh sam nikle
Dil ka kaanta na umr bhar nikla

Hai dekha na tujhko ji bhar ke
Hashar ka din bhi mukhtasir nikla

Maikashi hai 'Jaleel' ko zeba
Be khabar ho ke ba khabar nikla
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 509