donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jaleel Manikpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Dere mein aaya toh qasid shabaab aaya toh kya *
Dere mein aaya toh qasid shabaab aaya toh kya
In ko aana chahiye khat ka jawaab aaya toh kya

Aankh bhi saaqi milata ja khuda ke waastey
Dowr mein khaali agar jaam e sharaab aaya toh kya

Raat ko aakar jot um miltey to han ek baat thi
Subah ko surat dikhane Aaftaab aaya toh kya

Ishq mein honi thi ruswayi jahan tak hochuki
Ab mere bas mein dil e khana kharaab aaya toh kya

Umr guzri hai mere dil ko tadaptey loattey
Barq ke hisse mein dum bhar izteraab aaya toh kya

Raat ko sona na sona sab barabar ho gaya
Tum na aaye khwaab mein aankhon mein khwaab aaya toh kya
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 406