donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jaleel Manikpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Hosla wasl ka kismat ne nikalne na diya *
Hosla wasl ka kismat ne nikalne na diya
In ko shoqi ne mujhey dil ne sanbhalne na diya

Qatl karke mujhe jaana tha unhein maqtal se
Aap chalte hue talwaar ko chalne na diya

Jaam par jaam pilaati rahi chasm saaqi
Mujhko is daur e musalsal se sanbhalne na diya

Apni shoqi pe bahut naaz tha in ko laikin
Mein ne aaghosh e tawassur se nikalne na diya

Mein teri bazm se bedaag liye jaata hun
Shama ko tu ne jalaaya mujhe jalne na diya

Kis qadar jald hui khatam jawaani ki bahaar
Naql ummeed mera phoolne phalne na diya

Ghair mumkin tha ke is ghar mein woh tanha rahtey
Kis armaan ko mere dil se nikalne na diya

Lab balab ho ke ajab kaam kiya saagar ne
Lafz touba ka mere munh se nikalne na diya

Wahi raatein hain judai ki wahi din hain "Jaleel"
Is zamaane ko zamaane ne badalne na diya
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 445