* Tadpa ke dil mera nigaah e yaar reh gayi *
Tadpa ke dil mera nigaah e yaar reh gayi
Thodi si chal ke aaj yeh talwaar reh gayi
Kya husn tha ke aankh se dekha hazaar baar
Phir bhi nazar ko hasrat e deedar rah gayi
Dushman nahi toh ab gham e dushman hai yaar ko
Kaanta nikal gaya Khalish e khaar reh gayi
Husn wa jamaal ka faqt afsaana reh gaya
Yousuf rahe na garmi e bazaar reh gayi
Qatil ki chaal par toh gale cut gaye Jaleel |