donateplease
newsletter
newsletter
rishta online logo
rosemine
Bazme Adab
Google   Site  
Bookmark and Share 
design_poetry
Share on Facebook
 
Jaleel Manikpuri
 
Share to Aalmi Urdu Ghar
* Haye dum bhar bhi dil tahar na saka *
Haye dum bhar bhi dil tahar na saka
Haath seene pe koi dhar na saka

Aaina kisi se dekha jaata hai
Rashk ke maare woh sanwar na saka

Reh gaya aankh mein nazakat se
Dil mein naqsha tera utar na saka

Is jahan se guzar gaye laakhon
Is gali se koi guzar na saka

Maikashi se nijaath mushkil hai
Mai ka dooba kabhi ubhar na saka

Mera naama khat muqaddar tha
Ke nazar se teri guzar na saka

Jo tere ishq mein tabah hua
Koi is ko tabah kar na saka

Aag aisi lagi thi seene mein
Aankh se dil mein woh utar na saka

Mousam e gul mein bhi 'Jaleel' afsos
Daaman apna gulon se bhar na saka
 
Comments


Login

You are Visitor Number : 408